Menu

Friday 17 June 2016

Aasan Gharelu Nuskhe For Face (चेहरे की सुंदरता बढ़ाए)


1: Mahine me 1 ya 2 baar aapko apne chehre ka facial karwana chahiye.
2:Aapko hafte me 2 baar scrub karna chahiye taki aapki skin me glow aa sake.
3:Din mai kam se kam 7-8 ghante ki neend aapki body ke liye bahut jaruri hai.
4:Jitna ho sake jyada se jyada pani piye aur jaldi apne aap ko tarotaaza banaye (paani peene ke aur bhi hai fayde).
5:Akhrot ke tel se apni twacha ko massage bhi kar sakti hai. Isse aap jawan dikhne lagegi.
6:Orange juice pijiye chahe iske chilke ko sukha kar iska paste bana kar apne chehre par lagaiye.
7:Badam, gulab ke Phool, chironji aur jaiphal ko raat me dudh ke saath bhigo kar rakh de. Subah ise piskar iska mixture lagaye.
8:Neem ki pattiya, gulab ki pattiya, gende ka fool sabhi ko ek katori pani mai ubale aur uske ras ko chehre par lagaye. Isse pimples aana band ho jayenge.

No comments:

Post a Comment